Intzaar bhi kambakht hi hai
Uska wajood hi dum tod dena hai
Use milne aur bichadne k beech
Sulagna bada raas aata hai
Ek toh tanhai k saath aata hai
Aur milne ki aas badhata hai
Bhale hi pal bhar ka ho
Par intzaar kise pyaara hota hai
Apni jaan kisi aur ko saup dena
Aur apni dhadkane sunnte rehna
Khali pan ka mausam hi bas paas hota hai
Phir milne ka waqt hi phir un Nazdeekiyo ka
Deedar kar uljhan suljha deta hai
Intzaar kambhakt hi hai
Dilon ki dooriyon se pyaar badhata hai
Khone k ehsaas se, saath hona jaruri sa lagta hai
Bhichadne k gum mein, phir milne ki umeed jagata hai
Intzaar kambakht hi toh hai
Uska wajood hi dum tod dena hai
Bhagyashree (19/10/2019 1.37am)
No comments:
Post a Comment